Joke SMS, Love SMS, Naughty SMS, Missing You SMS,Good Morning SMS, Good Night SMS, Shayari SMS, Festival SMS, Thought Of The Day SMS, Friendship SMS,Birthday SMS
Showing posts with label Free Shayari SMS. Show all posts
Showing posts with label Free Shayari SMS. Show all posts

Sunday, October 10, 2010

Friendship n Shayari SMS - Har lafz dosti ka ada kaun karega SMS



Har lafz dosti ka ada kaun karega…

Hum na rahenge to dosti kaun karega…

Mere khuda meri dosti ko salamat rakhna…

Warna hamari zindagi ki dua kaun karega…


Saturday, May 23, 2009

Shayari SMS –Usko chaha bhi to izhaar karna na aaya SMS


Usko chaha bhi to
Izhaar karna na aaya
Kat gayi umar saari humari
pyar karna na aaya
Usne maanga bhi kuch to
judai maangi aur humein inkaar bhi karna na aaya…

Shayari SMS - Mohabbat ka matlab intezaar nahi hota SMS



Mohabbat ka matlab intezaar nahi hota
Har kisi ko dekhna pyar nahi hota
Yun to milta hai roz mohabbat-e-paigam
Pyar hai zindagi jo has baar nahi hota…

Thursday, April 30, 2009

Shayari n Friendship SMS - Milna bichadna sab kismat ka khel hai SMS


Milna bichadna sab kismat ka khel hai…
Kahi nafrat kahi dilo ka mel hai
Beek jate hai har rishte duniya mein
sirf dosti hi yahan “Not For Sale” hai…

Wednesday, April 29, 2009

Shayari SMS – Waqt noor ko benoor kar deta hai


Waqt noor ko benoor kar deta hai
Thode se zakhm ko nasoor kar deta hai
Kaun chahta hai apno se dur rehna
Waqte sabko majboor kar deta hai

Monday, April 27, 2009

Shayari SMS - Koshish karo ke koi tumse na ruthe SMS


Koshish karo ke koi tumse na ruthe

Zindagi main apno ka sath na chutey

Rishta koi bhi ho use aise nibhao

Ke us rishte ki dor zindagi bhar na toote

Thursday, April 9, 2009

Shayari n Miss You SMS- Ajeeb lagti hai shaam kabhi kabhi SMS


Ajeeb lagti hai shaam kabhi kabhi…

Zindagi lagti hai bejaan kabhi kabhi…

Samjh mein aaye to humein bhi batana…

Kyu karti hai ye yaadein pareshan kabhi kabhi…

Friday, March 27, 2009

Miss You n Shayari SMS – Zindagi itne dard deti hai SMS



Zindagi itne dard deti hai

Dil mein phir bhi umeed rehti hai

Dil kehta hai wo nahi yaad karte honge

Par wo yaad karte honge umeed kehti hai

Shayari SMS - Tumhe dekh kar koi aur bhi jeeta hai SMS



Pathar pani mein na feko
Usse aur koi bhi peeta hai
Zindagi jeeni hai to has kar jiyo
Tumhe dekh kar koi aur bhi jeeta hai

Friday, March 20, 2009

Shayari SMS - Hamari galtiyo ko bhulate rehna SMS


Hamari galtiyo ko bhulate rehna
Zindagi bhar dosti nibhate rehna
Agar hum na chal sake aapke sath
To aap hi kadam se kadam milate rehna

Wednesday, March 18, 2009

Friendship n Shayari SMS - Kabhi teri palkon pe jhilmilaaon mein SMS





Kabhi teri palkon pe jhilmilaaon mein…

Tu intezaar karein aur na aaon mein…

Dost samundar par pahunch kar fareb mat karna…

Tu kahe to kinnare pe doob jau mein…

Saturday, March 14, 2009

Shayari SMS - Sitaro ko gin kar dikhana mushkil hai SMS


Sitaro ko gin kar dikhana mushkil hai

Kismat mein jo likha ho usse mitana mushkil hai

Hum apki jarurat ho ya na ho

Par ehmiyat apki lafzo mein batana mushkil hai

Monday, March 9, 2009

Shayari n Miss You SMS - Magar in aankhon mein intzaar SMS


Tut gayi talwar
Par dhaar wahi hai
Door rehte ho to kya
Pyar wahi hai
Jaante hai hum ki mil nahi sakte aapse
Magar in aankhon mein intzaar aaj bhi wahi hai

Thursday, February 19, 2009

Miss You n Shayari SMS - Apne aap par guroor aa jata hai SMS


Chehre pe hasi chaa jati hai

Ankhon mein suroor aa jata hai

Jab tum apno ki tarah yaad karte ho

Apne aap par guroor aa jata hai

Wednesday, February 18, 2009

Shayari SMS - Na chaho kisi ko itna ki SMS



Na chaho kisi ko itna ki
Chahat tumhari majburi ban jaye
Chaho kisi ko itna tumhara pyar…
Uske liye jaruri ban jaye…

Thursday, February 12, 2009

Shayari SMS - Dua hai rab se kabhi aapko dard SMS



Dua hai rab se kabhi aapko dard ka ehsas na de
Pal koi aisa na guzre
Jab mushkilon mein hum sath na de
Kisi saans mein hum apko bhule
Rab humein aisi saans na de.

Monday, February 9, 2009

Shayari n Love SMS - Zindagi mein kuch lamhe khaas ban gaye SMS


Zindagi mein kuch lamhe khaas ban gaye
Mile to mulaqat bichre to yaad ban gaye
Aur kisse dil se na mita paye wo aap ban gaye

Tuesday, February 3, 2009

Shayari SMS - Har sajda aap ka manjur-e-Khuda SMS


Har sajda aap ka manjur-e-Khuda ho jaye
Aapki duaon mein rab ki raza ho jaye
Khuda apko itni khushiyan de ke
apki zindagi se laft-e-gum fanna ho jaye…

Thursday, January 29, 2009

Shayari n Friendship SMS - Magar kya koi humari jagah le payega SMS


Talash karoge to koi mil hi jayega
Magar humari tarah dosti kon nibhayega
Maana kami nahi apko dosto ki
Magar kya koi humari jagah le payega

Friday, January 23, 2009

Shayari n Miss You SMS - Khushbu ki tarah aapke paas bikhar jayenge


Khushbu ki tarah aapke paas bikhar jayenge
Sukun bankar dil mein utar jayenge
Mehsus karne ki koshish to ki jiye
Dur hote huye bhi pass nazar aayenge